Wednesday, 22 October 2014

DIWALI manata HAR KOI...kaun hai woh "KOI" let's see.....

Sabse pehle iss DIWALI ke shubh aur paawan avsar pe में आपको  और आपके परिवार को बहोत बहोत Shubh Kamnaye Deta Hun.....Dua karta hun ki आपकी झोली खुशियों से भरदे वह उपरवाला और आपकी हर tamanna puri karde woh uparwala


Diwali bolo ya Deepavali ya bolo Khushi aur Uthsah ka त्यौहार 
मिल के मानते है सारे bude bacche bade saath apne apne परिवार 
Iss festival ke matlab itne saarein hai
Jitne aasman mein hote taarein hai

Koi is mauke par apne naye dhande ki shuruat karta hai
Koi is mauke par apne beechde ruthe doston se mulakat karta hai
Koi iss मौके पर नाए वस्त्र खरीद ता है tau कोई naye logon se vaartalaap karta hai

Koi iss festival ke aane ka intezaar karta hai, kyunki yehi waqt usse apne kaam se chutti ka milta hai,
Koi iss festival ke aane ka intezaar karta hai, क्यूंकि एहि वक़्त उससे अपने पापा के साथ बीतने का मिलता है
Koi iss festival ke aane ka intezaar karta hai, kyunki yehi samay usse pyaar jatane ka milta hai.



Koi Diwali ke avsar pe nayi gaadi khareed ke khushiyaan बाटता है 
Koi Diwali ke avsar pe sona khareed ke kisiki sajavaat takta hai
Koi Diwali ke din garibon ko bhojan pradan karke santusht hota hai
Tau Koi Diwali ke din old age home mein sweets baantne ko utsook hota hai

Koi Diwali ki chutti mein bhi mann lagage padai karta hai (PGPX)
Koi Diwali ki chutti mein bhi mann lagage kadai seekhta hai
Koi Diwali aane se pehle usski tayari mein jooth jaata hai
Koi Diwali aane se pehle kharidaari mein loot jaata hai

Diwali har koi apne apne dhaang se manata hai

Diwali par har koi apni kismat ka uday paata hai
Diwali par hum Laxmi Ji ka Pujan hai Karte
Diwali par hum sabhi logon ki tarraki ka mann hai rakhte

Iss Koi, Iss Someone, Iss Special person ko Diwali ki bahot bahot shubkaamnaaye
Yeh "KOI" koi bhi nahin, aap saarein Duniya waale ho 

Happy DIWALI TO a SPECIAL KOI (SomeOne)




No comments:

Post a Comment